us se mera koi rishta nikla
us se merā koī rishta niklā
mere jaisā vo bhī tanhā niklā
us ke chehre pe chamak thī jitnī
utnā andar se vo TuuTā niklā
ho ga.e tum mire apne jab se
jo bhī apnā thā parāyā niklā
laakh tūfān chhupā.e the kidhar
dil to siine meñ zarā sā niklā
dil to 'sandīp' ka.ī baar jalā
tab kahīñ shab se ujālā niklā
us se mera koi rishta nikla
mere jaisa wo bhi tanha nikla
us ke chehre pe chamak thi jitni
utna andar se wo TuTa nikla
ho gae tum mere apne jab se
jo bhi apna tha paraya nikla
lakh tufan chhupae the kidhar
dil to sine mein zara sa nikla
dil to 'sandip' kai bar jala
tab kahin shab se ujala nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.