us se pahchan ho gai hogi
us se pahchān ho ga.ī hogī
ziist āsān ho ga.ī hogī
zindagī bevafā azal se hai
dushman-e-jān ho ga.ī hogī
aaj vo yaar ban ga.e gahre
jaan pahchān ho ga.ī hogī
us se jab arz-e-hāl tum ne kī
sun ke hairān ho ga.ī hogī
guftugū kar rahe the be-mauqa.a
baat be-jān ho ga.ī hogī
ziist 'fānī' ḳhushī kī chāhat meñ
ġham kā unvān ho ga.ī hogī
us se pahchan ho gai hogi
zist aasan ho gai hogi
zindagi bewafa azal se hai
dushman-e-jaan ho gai hogi
aaj wo yar ban gae gahre
jaan pahchan ho gai hogi
us se jab arz-e-haal tum ne ki
sun ke hairan ho gai hogi
guftugu kar rahe the be-mauqa
baat be-jaan ho gai hogi
zist 'fani' KHushi ki chahat mein
gham ka unwan ho gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.