us se rishta hi hamara hai jhagaDne wala
us se rishta hī hamārā hai jhagaḌne vaalā
aur ye aap ke palle nahīñ paḌne vaalā
khokhlā dikhtā bhale huuñ maiñ tujhe bāhar se
ai havā tujh se magar maiñ na ukhaḌne vaalā
das minute pahle hī thī dhuup mire āñgan meñ
ye lagā hī nahīñ mausam hai bigaḌne vaalā
shāḳh ko aas thī vāpas kabhī to aa.egā
ḳhaak meñ mil gayā par us se bichhaḌne vaalā
roz ke jhagḌe se behtar hai mujhe chhoḌ hī do
haa.e ab koī nahīñ mujh se jhagaḌne vaalā
kaash ik baar phisal jā.ūñ kisī building se
aur koī bhī na ho mujh ko pakaḌne vaalā
us se rishta hi hamara hai jhagaDne wala
aur ye aap ke palle nahin paDne wala
khokhla dikhta bhale hun main tujhe bahar se
ai hawa tujh se magar main na ukhaDne wala
das minute pahle hi thi dhup mere aangan mein
ye laga hi nahin mausam hai bigaDne wala
shaKH ko aas thi wapas kabhi to aaega
KHak mein mil gaya par us se bichhaDne wala
roz ke jhagDe se behtar hai mujhe chhoD hi do
hae ab koi nahin mujh se jhagaDne wala
kash ek bar phisal jaun kisi building se
aur koi bhi na ho mujh ko pakaDne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.