us se uske baghair baaten kin
us se us ke baġhair bāteñ kiiñ
phir bhī bole baġhair bāteñ kiiñ
haath mere isī liye to kaTe
haath joḌe baġhair bāteñ kiiñ
aaj to us ne bhī hamārī tarah
soche-samjhe baġhair bāteñ kiiñ
maiñ ne nārāz kar diyā us ko
jhūTh bole baġhair bāteñ kiiñ
us se us ke baghair baaten kin
phir bhi bole baghair baaten kin
hath mere isi liye to kaTe
hath joDe baghair baaten kin
aaj to us ne bhi hamari tarah
soche-samjhe baghair baaten kin
main ne naraaz kar diya us ko
jhuTh bole baghair baaten kin
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 79)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.