us shahr mein rahne ko Thikana bhi nahin tha
us shahr meñ rahne ko Thikāna bhī nahīñ thā
vo shahr jise chhoḌ ke jaanā bhī nahīñ thā
us shaḳhs kī rah dekhte rahte the hamesha
jis shaḳhs ko is shahr meñ aanā bhī nahīñ thā
kuchh zād-e-safar paas na thā duur thī manzil
raste meñ koī yaar purānā bhī nahīñ thā
sahrāoñ meñ sab ḳharch huī 'umr kī pūñjī
sau pusht se majnūñ kā gharānā bhī nahīñ thā
har shaḳhs ne luuTā mujhe haq apnā samajh kar
har chand ki maiñ qaumī ḳhazāna bhī nahīñ thā
phir ham ne tirī yaad ko tā'vīz banāyā
jiine kā koī aur bahānā bhī nahīñ thā
us shahr mein rahne ko Thikana bhi nahin tha
wo shahr jise chhoD ke jaana bhi nahin tha
us shaKHs ki rah dekhte rahte the hamesha
jis shaKHs ko is shahr mein aana bhi nahin tha
kuchh zad-e-safar pas na tha dur thi manzil
raste mein koi yar purana bhi nahin tha
sahraon mein sab KHarch hui 'umr ki punji
sau pusht se majnun ka gharana bhi nahin tha
har shaKHs ne luTa mujhe haq apna samajh kar
har chand ki main qaumi KHazana bhi nahin tha
phir hum ne teri yaad ko ta'wiz banaya
jine ka koi aur bahana bhi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.