Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us shoKH ke andaz ko dekha to ghazab hai

Muntazir lakhnavi

us shoKH ke andaz ko dekha to ghazab hai

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    us shoḳh ke andāz ko dekhā to ġhazab hai

    aur us ke sivā naaz ko dekhā to ġhazab hai

    bātoñ meñ jo chhal leve hai dil pīr-o-javāñ

    us tifl-e-duā-bār ko dekhā to ġhazab hai

    kyā kyā na kahā us ne mujhe terī taraf se

    kāfir tire hamrāz ko dekhā to ġhazab hai

    har-chand ki hai tūtī-e-hind ek ḳhush-go

    par bulbul-e-shīrāz ko dekhā to ġhazab hai

    har-chand ki hai ishq anjām kuchh qahr

    har husn ke āġhāz ko dekhā to ġhazab hai

    ham 'muntazir' itnā na samajhte the use lek

    ḳhuub us but-e-ḳhud-sāz ko dekhā to ġhazab hai

    us shoKH ke andaz ko dekha to ghazab hai

    aur us ke siwa naz ko dekha to ghazab hai

    baaton mein jo chhal lewe hai dil pir-o-jawan ka

    us tifl-e-dua-bar ko dekha to ghazab hai

    kya kya na kaha us ne mujhe teri taraf se

    kafir tere hamraaz ko dekha to ghazab hai

    har-chand ki hai tuti-e-hind ek hi KHush-go

    par bulbul-e-shiraaz ko dekha to ghazab hai

    har-chand ki hai ishq ka anjam hi kuchh qahr

    har husn ke aaghaz ko dekha to ghazab hai

    hum 'muntazir' itna na samajhte the use lek

    KHub us but-e-KHud-saz ko dekha to ghazab hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now