us taraf se koi tufan hawa le ke chali
us taraf se koī tūfān havā le ke chalī
aur idhar maiñ bhī hathelī pe diyā le ke chalī
mujh ko ye dar-ba-darī tū ne hī baḳhshī hai magar
jab chalī ghar se to maiñ naam tirā le ke chalī
hādse raah meñ the aur safar zālim thā
chand ma.asūm laboñ se maiñ duā le ke chalī
maal agar le ke sabhī aa.e tirī mahfil meñ
mire āñchal meñ vafā thī maiñ vafā le ke chalī
sab jahāñ haath pasāre hue aa.e 'nik.hat'
aise bāzār meñ maiñ apnī anā le ke chalī
us taraf se koi tufan hawa le ke chali
aur idhar main bhi hatheli pe diya le ke chali
mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi baKHshi hai magar
jab chali ghar se to main nam tera le ke chali
hadse rah mein the aur safar zalim tha
chand masum labon se main dua le ke chali
mal agar le ke sabhi aae teri mahfil mein
mere aanchal mein wafa thi main wafa le ke chali
sab jahan hath pasare hue aae 'nikhat'
aise bazar mein main apni ana le ke chali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.