Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us zulf-e-jaan kun sanam ki bala kaho

Abroo Shah Mubarak

us zulf-e-jaan kun sanam ki bala kaho

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    us zulf-e-jāñ kuuñ sanam balā kaho

    afa.ī kaho siyāh kaho azhdahā kaho

    qātil nigah kuuñ pūchhte kyā ho ki kyā kaho

    ḳhanjar kaho kaTār kaho nīmchā kaho

    Tuk vāste ḳhudā ke mirā ijz kaho

    bekas kaho ġharīb kaho ḳhāk-e-pā kaho

    āshiq dard-e-hāl chhupānā nahīñ durust

    parghaT kaho pukār kaho barmalā kaho

    is teġhzan niiñ dil kuuñ diyā hai mire ḳhitāb

    bismil kaho shahīd kaho jāñ-fidā kaho

    shāh-e-najaf ke naam kuuñ luuñ 'ābrū' siiñ siikh

    haadī kaho imaam kaho rahnumā kaho

    us zulf-e-jaan kun sanam ki bala kaho

    afai kaho siyah kaho azhdaha kaho

    qatil nigah kun puchhte kya ho ki kya kaho

    KHanjar kaho kaTar kaho nimcha kaho

    Tuk waste KHuda ke mera ijz ja kaho

    bekas kaho gharib kaho KHak-e-pa kaho

    aashiq ka dard-e-haal chhupana nahin durust

    parghaT kaho pukar kaho barmala kaho

    is teghzan nin dil kun diya hai mere KHitab

    bismil kaho shahid kaho jaan-fida kaho

    shah-e-najaf ke nam kun lun 'abru' sin sikh

    hadi kaho imam kaho rahnuma kaho

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    us zulf-e-jaan kun sanam ki bala kaho Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now