use bas KHwab mein dekha tha pahle
use bas ḳhvāb meñ dekhā thā pahle
kahāñ vo sāmne aatā thā pahle
mohabbat naaz andāz-o-bayāñ meñ
salīqa ik huā kartā thā pahle
ye dīd-e-husn ye husn-e-nazārā
pas-e-chilman huā kartā thā pahle
diloñ meñ fāsla itnā nahīñ thā
diloñ se dil milā hotā thā pahle
bahut mahñgā hai ab kār-e-mohabbat
bahut thoḌe meñ chal jaatā thā pahle
gurezāñ hai jo ab saa.e se mere
mirā saaya huā kartā thā pahle
huā vo mehrbāñ piirī meñ 'tanhā'
vahī but jo javāñ hotā thā pahle
use bas KHwab mein dekha tha pahle
kahan wo samne aata tha pahle
mohabbat naz andaz-o-bayan mein
saliqa ek hua karta tha pahle
ye did-e-husn ye husn-e-nazara
pas-e-chilman hua karta tha pahle
dilon mein fasla itna nahin tha
dilon se dil mila hota tha pahle
bahut mahnga hai ab kar-e-mohabbat
bahut thoDe mein chal jata tha pahle
gurezan hai jo ab sae se mere
mera saya hua karta tha pahle
hua wo mehrban piri mein 'tanha'
wahi but jo jawan hota tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.