use betab ho kar sochti hun
use betāb ho kar sochtī huuñ
maiñ ik gulfām aksar sochtī huuñ
huī haa.il kuchh aisī bad-gumānī
maiñ ik hiire ko patthar sochtī huuñ
vo ik lamha jo biitā kal hai merā
maiñ har lamha vo manzar sochtī huuñ
huuñ jis kī zaat se vābasta kab se
ab us ko apnā mehvar sochtī huuñ
mirī Dolī jahāñ se saj ke niklī
maiñ bābul kā vahī ghar sochtī huuñ
ye hāv-hū badan ke ghaav par hai
magar maiñ dil ke nashtar sochtī huuñ
tumhārī yaad ke bādal jo aa.e
to ban kar bād-e-sar-sar sochtī huuñ
'sabīla' kyā kahūñ manzil kahāñ hai
ḳhudā vāqif hai jo dar sochtī huuñ
use betab ho kar sochti hun
main ek gulfam aksar sochti hun
hui hail kuchh aisi bad-gumani
main ek hire ko patthar sochti hun
wo ek lamha jo bita kal hai mera
main har lamha wo manzar sochti hun
hun jis ki zat se wabasta kab se
ab us ko apna mehwar sochti hun
meri Doli jahan se saj ke nikli
main babul ka wahi ghar sochti hun
ye haw-hu badan ke ghaw par hai
magar main dil ke nashtar sochti hun
tumhaari yaad ke baadal jo aae
to ban kar baad-e-sar-sar sochti hun
'sabila' kya kahun manzil kahan hai
KHuda waqif hai jo dar sochti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.