use bhi kya achchha lagta hun
use bhī kyā achchhā lagtā huuñ
maiñ jis ke sapne taktā huuñ
mire saath ik saaya chaltā hai
bhiiḌ meñ jab aage baḌhtā huuñ
un meñ koī bhī apnā nahīñ hai
maiñ jin chehroñ ko paḌhtā huuñ
auroñ kā ab zikr nahīñ hai
apne aap pe ḳhud hañstā huuñ
ab duniyā jaisī bhī ho 'farhat'
maiñ band āñkhoñ se taktā huuñ
use bhi kya achchha lagta hun
main jis ke sapne takta hun
mere sath ek saya chalta hai
bhiD mein jab aage baDhta hun
un mein koi bhi apna nahin hai
main jin chehron ko paDhta hun
auron ka ab zikr nahin hai
apne aap pe KHud hansta hun
ab duniya jaisi bhi ho 'farhat'
main band aankhon se takta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.