use bhi rabt-e-rihaish tamam karna tha
use bhī rabt-e-rihā.ish tamām karnā thā
mujhe bhī apnā koī intizām karnā thā
nigār-ḳhāne se us ne bhī rañg lene the
mujhe bhī shaam kā kuchh ehtimām karnā thā
mujhe bhī kahnī thī ik nazm us ke lahje par
use bhī ishq meñ kuchh apnā naam karnā thā
bas ek lunch hī mumkin thā jaldī jaldī meñ
use bhī jaanā thā mujh ko bhī kaam karnā thā
charāġh jalte the jis ke ik ek aasan meñ
us ek raat kā kyā iḳhtitām karnā thā
koī kitāb girānī thī koī sandesa
kisī tarah to use ham-kalām karnā thā
bas ek raat bhī guzrī nahīñ vahāñ 'mansūr'
tamām umr jahāñ par qayām karnā thā
use bhi rabt-e-rihaish tamam karna tha
mujhe bhi apna koi intizam karna tha
nigar-KHane se us ne bhi rang lene the
mujhe bhi sham ka kuchh ehtimam karna tha
mujhe bhi kahni thi ek nazm us ke lahje par
use bhi ishq mein kuchh apna nam karna tha
bas ek lunch hi mumkin tha jaldi jaldi mein
use bhi jaana tha mujh ko bhi kaam karna tha
charagh jalte the jis ke ek ek aasan mein
us ek raat ka kya iKHtitam karna tha
koi kitab girani thi koi sandesa
kisi tarah to use ham-kalam karna tha
bas ek raat bhi guzri nahin wahan 'mansur'
tamam umr jahan par qayam karna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.