use chhupa liya tha maine aankh mein
use chhupā liyā thā maiñ ne aañkh meñ
ye log ḳhvāb meñ bhī jhāñkne lage
mahak rahe haiñ yuuñ to phuul aur bhī
magar jo zaḳhm tere haath se lage
maiñ jis lagan se tujh ko dekhtā huuñ log
usī lagan se mujh ko dekhne lage
tumhāre baad kuchh nahīñ kiyā gayā
ham apne saath vaqt kāTne lage
chhuā thā ek baar us ke haath ko
phir us ke baad phuul khurdure lage
use chhupa liya tha main ne aankh mein
ye log KHwab mein bhi jhankne lage
mahak rahe hain yun to phul aur bhi
magar jo zaKHm tere hath se lage
main jis lagan se tujh ko dekhta hun log
usi lagan se mujh ko dekhne lage
tumhaare baad kuchh nahin kiya gaya
hum apne sath waqt kaTne lage
chhua tha ek bar us ke hath ko
phir us ke baad phul khurdure lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.