use dekh kar apna mahbub pyara bahut yaad aaya
use dekh kar apnā mahbūb pyārā bahut yaad aayā
vo jugnū thā us se hameñ ik sitāra bahut yaad aayā
yahī shaam kā vaqt thā ghar se nikle ki yaad aa gayā thā
bahut din hue aaj vo sab dobāra bahut yaad aayā
sahar jab huī to bahut ḳhāmushī thī zamīñ shabnamī thī
kabhī ḳhāk-e-dil meñ thā koī sharāra bahut yaad aayā
baraste the bādal dhuāñ phailtā thā ajab chaar jānib
fazā khil uThī to sarāpā tumhārā bahut yaad aayā
kabhī us ke baare meñ sochā na thā aur sochā to dekho
samundar koī be-sadā be-kināra bahut yaad aayā
use dekh kar apna mahbub pyara bahut yaad aaya
wo jugnu tha us se hamein ek sitara bahut yaad aaya
yahi sham ka waqt tha ghar se nikle ki yaad aa gaya tha
bahut din hue aaj wo sab dobara bahut yaad aaya
sahar jab hui to bahut KHamushi thi zamin shabnami thi
kabhi KHak-e-dil mein tha koi sharara bahut yaad aaya
baraste the baadal dhuan phailta tha ajab chaar jaanib
faza khil uThi to sarapa tumhaara bahut yaad aaya
kabhi us ke bare mein socha na tha aur socha to dekho
samundar koi be-sada be-kinara bahut yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.