use kab se yahi samjha raha hun
use kab se yahī samjhā rahā huuñ
tirā hī thā maiñ jab terā rahā huuñ
mujhe fursat daboche jā rahī hai
maiñ apne aap se uktā rahā huuñ
koī bhī rokne vaalā nahīñ hai
ḳhamoshī se guzartā jā rahā huuñ
mirī tishna-labī par hañsne vaale
guzishta vaqt maiñ dariyā rahā huuñ
vo ġhalatī jo kabhī kī hī nahīñ hai
usī ġhalatī pe maiñ pachhtā rahā huuñ
mirī vīrān āñkheñ kah rahī haiñ
yaqīnan muddatoñ tanhā rahā huuñ
zamāna kaam apnā kar rahā hai
maiñ apnā kaam kartā jā rahā huuñ
use kab se yahi samjha raha hun
tera hi tha main jab tera raha hun
mujhe fursat daboche ja rahi hai
main apne aap se ukta raha hun
koi bhi rokne wala nahin hai
KHamoshi se guzarta ja raha hun
meri tishna-labi par hansne wale
guzishta waqt main dariya raha hun
wo ghalati jo kabhi ki hi nahin hai
usi ghalati pe main pachhta raha hun
meri viran aankhen kah rahi hain
yaqinan muddaton tanha raha hun
zamana kaam apna kar raha hai
main apna kaam karta ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.