use KHabar hi nahin thi wo kis jahan mein tha
use ḳhabar hī nahīñ thī vo kis jahān meñ thā
khulī fazā thī parinda khulī uḌaan meñ thā
use maiñ dekh rahā huuñ tumhāre siine meñ
vo ek tiir jo ab tak mirī kamān meñ thā
charāġh thakne lage the havā se laḌte hue
magar vo hausla baaqī jo bādbān meñ thā
use pata hī nahīñ thā ye ratjagā kyoñ hai
mujhe ḳhabar hī nahīñ thī maiñ imtihān meñ thā
kisī kī baat se mujh ko yaqīñ milā 'ārib'
vahī yaqīn jo ab tak mire gumān meñ thā
use KHabar hi nahin thi wo kis jahan mein tha
khuli faza thi parinda khuli uDan mein tha
use main dekh raha hun tumhaare sine mein
wo ek tir jo ab tak meri kaman mein tha
charagh thakne lage the hawa se laDte hue
magar wo hausla baqi jo baadban mein tha
use pata hi nahin tha ye ratjaga kyon hai
mujhe KHabar hi nahin thi main imtihan mein tha
kisi ki baat se mujh ko yaqin mila 'arib'
wahi yaqin jo ab tak mere guman mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.