use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain
use kyā raat din jo tālib-e-dīdār phirte haiñ
ġharaz hai to ġharaz ke vāste sau baar phirte haiñ
idhar dekho bhalā ham ko zamāna kyā nahīñ kahtā
to kyā har ek se karte hue takrār phirte haiñ
jo ab vahshat nahīñ bhī hai to apnī chaal kyuuñ chhoḌeñ
jidhar jī chāhe din-bhar rāt-bhar be-kār phirte haiñ
tirī ḳhātir mohabbat ho ga.ī hai dil kī vahshat se
hameñ āvāra-pan par aa gayā hai pyaar phirte haiñ
taḌapne lūTne kī aaj un tak bhī ḳhabar pahuñchī
mujhe badnām karne ko mire ġham-ḳhvār phirte haiñ
use ham mānte haiñ to zamāne-bhar se achchhā hai
magar achchhe bhī apne qaul se ai yaar phirte haiñ
samajhte haiñ samajhne vaale us ko bhī riyā-kārī
galī-kūchoñ meñ kyuuñ tere sitam-bardār phirte haiñ
tumheñ afsos kyuuñ hai āshiqoñ kī kūcha-gardī par
phirātā hai muqaddar ye ḳhudā.ī ḳhaar phirte haiñ
kahīñ aisā na ho ik roz tum bhī ham se phir jaao
yahāñ pahle hī apnī jaan se bezār phirte haiñ
vo dil kī aarzū ab hai na us kī justujū ab hai
hamāre paañv meñ chakkar hai ham be-kār phirte haiñ
kisī kāfir kā ghar thā yā nahīñ ma.alūm jannat thī
abhī tak merī āñkhoñ meñ dar-o-dīvār phirte haiñ
zamāne se nirālā hai chalan in husn vāloñ kā
laqab to qātil-e-ālam hai be-talvār phirte haiñ
safī' ko tum ne to koī baḌā pahuñchā huā samjhā
ajī rahne bhī do aise bahut makkār phirte haiñ
use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain
gharaz hai to gharaz ke waste sau bar phirte hain
idhar dekho bhala hum ko zamana kya nahin kahta
to kya har ek se karte hue takrar phirte hain
jo ab wahshat nahin bhi hai to apni chaal kyun chhoDen
jidhar ji chahe din-bhar raat-bhar be-kar phirte hain
teri KHatir mohabbat ho gai hai dil ki wahshat se
hamein aawara-pan par aa gaya hai pyar phirte hain
taDapne luTne ki aaj un tak bhi KHabar pahunchi
mujhe badnam karne ko mere gham-KHwar phirte hain
use hum mante hain to zamane-bhar se achchha hai
magar achchhe bhi apne qaul se ai yar phirte hain
samajhte hain samajhne wale us ko bhi riya-kari
gali-kuchon mein kyun tere sitam-bardar phirte hain
tumhein afsos kyun hai aashiqon ki kucha-gardi par
phiraata hai muqaddar ye KHudai KHar phirte hain
kahin aisa na ho ek roz tum bhi hum se phir jao
yahan pahle hi apni jaan se bezar phirte hain
wo dil ki aarzu ab hai na us ki justuju ab hai
hamare panw mein chakkar hai hum be-kar phirte hain
kisi kafir ka ghar tha ya nahin malum jannat thi
abhi tak meri aankhon mein dar-o-diwar phirte hain
zamane se nirala hai chalan in husn walon ka
laqab to qatil-e-alam hai be-talwar phirte hain
safi' ko tum ne to koi baDa pahuncha hua samjha
aji rahne bhi do aise bahut makkar phirte hain
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 202)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.