use mana kar ghurur us ka baDha na dena
use manā kar ġhurūr us kā baḌhā na denā
vo sāmne aa.e bhī to us ko sadā na denā
ḳhulūs ko jo ḳhushāmadoñ meñ shumār kar leñ
tum aise logoñ ko tohfatan bhī vafā na denā
vo jis kī Thokar meñ ho sambhalne kā dars shāmil
tum aise patthar ko rāste se haTā na denā
sazā gunāhoñ kī denā us ko zarūr lekin
vo aadmī hai tum us kī azmat ghaTā na denā
jahāñ rifāqat ho fitna-pardāz maulvī kī
bahisht aisī kisī ko mere ḳhudā na denā
'qatīl' mujh ko yahī sikhāyā mire nabī ne
ki fat.h pā kar bhī dushmanoñ ko sazā na denā
use mana kar ghurur us ka baDha na dena
wo samne aae bhi to us ko sada na dena
KHulus ko jo KHushamadon mein shumar kar len
tum aise logon ko tohfatan bhi wafa na dena
wo jis ki Thokar mein ho sambhalne ka dars shamil
tum aise patthar ko raste se haTa na dena
saza gunahon ki dena us ko zarur lekin
wo aadmi hai tum us ki azmat ghaTa na dena
jahan rifaqat ho fitna-pardaz maulwi ki
bahisht aisi kisi ko mere KHuda na dena
'qatil' mujh ko yahi sikhaya mere nabi ne
ki fath pa kar bhi dushmanon ko saza na dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.