use na milne ki socha hai yun saza denge
use na milne kī sochā hai yuuñ sazā deñge
har ek jism pe chehrā vahī lagā deñge
hamāre shahr meñ shakleñ haiñ be-shumār magar
tire hī naam se har ek ko sadā deñge
ham āftāb ko ThanDā na kar sake ai zamīñ
ab apne saa.e kī chādar tujhe oḌhā deñge
bhulā.e baiThe haiñ jis ko ham ek muddat se
gar us ne pūchh liyā to javāb kyā deñge
badan samet agar vo kabhī jo aa jaa.e
badan ko us ke badan apnā bā-ḳhudā deñge
use na milne ki socha hai yun saza denge
har ek jism pe chehra wahi laga denge
hamare shahr mein shaklen hain be-shumar magar
tere hi nam se har ek ko sada denge
hum aaftab ko ThanDa na kar sake ai zamin
ab apne sae ki chadar tujhe oDha denge
bhulae baiThe hain jis ko hum ek muddat se
gar us ne puchh liya to jawab kya denge
badan samet agar wo kabhi jo aa jae
badan ko us ke badan apna ba-KHuda denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.