use tab dekhte shadab tha jab
use tab dekhte shādāb thā jab
vo sahrā har taraf ḳhush-ḳhvāb thā jab
khaḌe ḳhush-fe.aliyāñ karte the bagule
nadī meñ ghuTne ghuTne aab thā jab
umīdī sīpiyāñ irfān sī thiiñ
samundar fikr kā pāyāb thā jab
chamaktī ḳhushbueñ thiiñ machhliyoñ kī
jazīra ḳhvāb kā dashtāb thā jab
qadam ḳhud se baḌhāte the na raste
barastā chaar sū kohrāb thā jab
sabhī chehre ujālā sochte the
hamārī āñkhoñ pe naqshāb thā jab
thiiñ ham-ta.abīr 'rahmānī' kī bāheñ
badan ham-ḳhvāb kā kamḳhāb thā jab
use tab dekhte shadab tha jab
wo sahra har taraf KHush-KHwab tha jab
khaDe KHush-fealiyan karte the bagule
nadi mein ghuTne ghuTne aab tha jab
umidi sipiyan irfan si thin
samundar fikr ka payab tha jab
chamakti KHushbuen thin machhliyon ki
jazira KHwab ka dashtab tha jab
qadam KHud se baDhate the na raste
barasta chaar su kohrab tha jab
sabhi chehre ujala sochte the
hamari aankhon pe naqshab tha jab
thin ham-tabir 'rahmani' ki bahen
badan ham-KHwab ka kamKHab tha jab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.