use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin
use to pās-e-ḳhulūs-e-vafā zarā bhī nahīñ
magar ye aas kā rishta ki TūTtā bhī nahīñ
ghire hue haiñ ḳhamoshī kī barf meñ kab se
kisī ke paas koī tesha-e-sadā bhī nahīñ
ma.āl-e-ġhunch-o-gul hai mirī nigāhoñ meñ
mujhe tabassum-e-kāzib kā hausla bhī nahīñ
tulū-e-sub.h-e-azal se maiñ DhūñDhtā thā jise
milā to hai pa mirī samt dekhtā bhī nahīñ
mirī sadā se bhī raftār tez thī us kī
mujhe gila bhī nahīñ hai jo vo rukā bhī nahīñ
bikhar ga.ī hai nigāhoñ kī raushnī varna
nazar na aa.e vo itnā to fāsla bhī nahīñ
sunā hai aaj kā mauzū-e-majlis-e-tanqīd
vo sher hai ki abhī maiñ ne jo kahā bhī nahīñ
simaT rahe haiñ sitāroñ ke fāsle 'anvar'
paḌosiyoñ ko magar koī jāntā bhī nahīñ
use to pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin
magar ye aas ka rishta ki TuTta bhi nahin
ghire hue hain KHamoshi ki barf mein kab se
kisi ke pas koi tesha-e-sada bhi nahin
maal-e-ghunch-o-gul hai meri nigahon mein
mujhe tabassum-e-kazib ka hausla bhi nahin
tulu-e-subh-e-azal se main DhunDhta tha jise
mila to hai pa meri samt dekhta bhi nahin
meri sada se bhi raftar tez thi us ki
mujhe gila bhi nahin hai jo wo ruka bhi nahin
bikhar gai hai nigahon ki raushni warna
nazar na aae wo itna to fasla bhi nahin
suna hai aaj ka mauzu-e-majlis-e-tanqid
wo sher hai ki abhi main ne jo kaha bhi nahin
simaT rahe hain sitaron ke fasle 'anwar'
paDosiyon ko magar koi jaanta bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.