ushshaq ka dil dagh ka andaza hua mahz
ushshāq kā dil daaġh kā andāza huā mahz
peshānī-e-dilbar pe ajab ġhāza huā mahz
ai nūr-e-nazar muntazir-e-vasl huuñ aa jā
do paaT palak ke nahīñ darvāza huā mahz
maḳhmūr huuñ tujh chashm-e-gulābī kā pilā jaam
nargis ke pyāle satī ḳhamyāza huā mahz
likhtā hai 'sirāj' us gul-e-be-e-ḳhār kī tārīf
dīvāñ kuuñ rag-e-gul satī shīrāza huā mahz
ushshaq ka dil dagh ka andaza hua mahz
peshani-e-dilbar pe ajab ghaza hua mahz
ai nur-e-nazar muntazir-e-wasl hun aa ja
do paT palak ke nahin darwaza hua mahz
maKHmur hun tujh chashm-e-gulabi ka pila jam
nargis ke pyale sati KHamyaza hua mahz
likhta hai 'siraj' us gul-e-be-e-KHar ki tarif
diwan kun rag-e-gul sati shiraaza hua mahz
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 426)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.