Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye

Adeem Hashmi

usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    usī ek fard ke vāste mire dil meñ dard hai kis liye

    mirī zindagī mutāliba vahī ek fard hai kis liye

    jo shahr meñ muqīm hai to musāfirat fazā hai kyuuñ

    tirā kārvāñ jo nahīñ gayā to havā meñ gard hai kis liye

    na jamāl-o-husn bazm hai na junūn o ishq azm hai

    sar-e-dasht raqs meñ har ghaḌī koī bādgard hai kis liye

    tire husn se ye patā chalā tujhe dekh kar ye ḳhabar huī

    jahāñ rāsta nahīñ koī vahāñ rah-navard hai kis liye

    jo likhā hai mere nasīb meñ kahīñ ne paḌh to nahīñ liyā

    tirā haath sard hai kis liye tirā rañg zard hai kis liye

    vo jo tark-e-rabt ahd thā kahīñ TūTne to nahīñ lagā

    tire dil ke dard ko dekh kar mire dil meñ dard hai kis liye

    koī vāsta jo nahīñ rahā tirī aañkh meñ ye namī hai kyuuñ

    mire ġham aag ko dekh kar tirī aah sard hai kis liye

    usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye

    meri zindagi ka mutaliba wahi ek fard hai kis liye

    tu jo shahr mein hi muqim hai to musafirat ki faza hai kyun

    tera karwan jo nahin gaya to hawa mein gard hai kis liye

    na jamal-o-husn ki bazm hai na junun o ishq ka azm hai

    sar-e-dasht raqs mein har ghaDi koi baadgard hai kis liye

    tere husn se ye pata chala tujhe dekh kar ye KHabar hui

    jahan rasta hi nahin koi wahan rah-naward hai kis liye

    jo likha hai mere nasib mein kahin tu ne paDh to nahin liya

    tera hath sard hai kis liye tera rang zard hai kis liye

    wo jo tark-e-rabt ka ahd tha kahin TuTne to nahin laga

    tere dil ke dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye

    koi wasta jo nahin raha teri aankh mein ye nami hai kyun

    mere gham ki aag ko dekh kar teri aah sard hai kis liye

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Dastavez (Pg. 77)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now