usi ka dard hai jis ke jigar ka lasha hai
usī kā dard hai jis ke jigar kā lāsha hai
maiñ jāntā huuñ ki baaqī to sab tamāsha hai
maiñ kyā batā.ūñ jo TuuTā hai mujh pe zulm-o-sitam
maiñ kyā likhūñ ki mirā dard be-tahāsha hai
bunī haiñ sāzisheñ mausam ne dhuup se mil kar
havā ne mere har ik phuul ko ḳharāshā hai
amīr-e-shahr maiñ tujh ko tirī duhā.ī duuñ
ki merā tolā bhī terī nazar meñ māsha hai
ujāḌte hue vo kāñptā to hogā 'zubair'
vo ḳhvāb haath nahīñ ḳhuun se tarāshā hai
usi ka dard hai jis ke jigar ka lasha hai
main jaanta hun ki baqi to sab tamasha hai
main kya bataun jo TuTa hai mujh pe zulm-o-sitam
main kya likhun ki mera dard be-tahasha hai
buni hain sazishen mausam ne dhup se mil kar
hawa ne mere har ek phul ko KHarasha hai
amir-e-shahr main tujh ko teri duhai dun
ki mera tola bhi teri nazar mein masha hai
ujaDte hue wo kanpta to hoga 'zubair'
wo KHwab hath nahin KHun se tarasha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.