usi ka dekhna hai Thanta dil
usī kā dekhnā hai Thāntā dil
jo hai tīr-e-nigah se chhāntā dil
bahut kahte haiñ mat mil us se lekin
nahīñ kahnā hamārā māntā dil
kahā us ne ye ham se kis sanam ko
tumhārā in dinoñ hai māntā dil
chhupāoge to chhupne kā nahīñ yaañ
hamārā hai nishāñ pahchāntā dil
kahā ham ne 'nazīr' us se ki jis ne
ye pūchhā hai usī kā jāntā dil
usi ka dekhna hai Thanta dil
jo hai tir-e-nigah se chhanta dil
bahut kahte hain mat mil us se lekin
nahin kahna hamara manta dil
kaha us ne ye hum se kis sanam ko
tumhaara in dinon hai manta dil
chhupaoge to chhupne ka nahin yan
hamara hai nishan pahchanta dil
kaha hum ne 'nazir' us se ki jis ne
ye puchha hai usi ka jaanta dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.