usi ke husn usi ki ada ke bare mein
usī ke husn usī kī adā ke baare meñ
phir ek she'r usī dilrubā ke baare meñ
maiñ us ke chhūne se achchhā huā batātā kise
sabhī ne pūchhā thā mujh se davā ke baare meñ
isī ḳhatā pe bujhā.e ga.e charāġh mire
maiñ jāntā thā bahut kuchh havā ke baare meñ
tamām shahr 'ibādat meñ us kī thā mashġhūl
patā kisī ko nahīñ thā ḳhudā ke baare meñ
maiñ is liye bhī gunāhoñ se bach rahā thā 'shakīl'
mujhe batāyā gayā thā sazā ke baare meñ
usi ke husn usi ki ada ke bare mein
phir ek she'r usi dilruba ke bare mein
main us ke chhune se achchha hua batata kise
sabhi ne puchha tha mujh se dawa ke bare mein
isi KHata pe bujhae gae charagh mere
main jaanta tha bahut kuchh hawa ke bare mein
tamam shahr 'ibaadat mein us ki tha mashghul
pata kisi ko nahin tha KHuda ke bare mein
main is liye bhi gunahon se bach raha tha 'shakil'
mujhe bataya gaya tha saza ke bare mein
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 63)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.