usi ke samne be-iKHtiyar hota hun
usī ke sāmne be-iḳhtiyār hotā huuñ
maiñ jān-būjh ke us kā shikār hotā huuñ
isī liye maiñ pasandīda qaidī huuñ us kā
maiñ us se pūchh ke us se farār hotā huuñ
ye fī-zamāna samajhdārī to nahīñ lekin
maiñ jis pe hotā huuñ puurā nisār hotā huuñ
jahāñ-jahāñ pe muḳhālif khaḌe hue hoñ tire
vahāñ-vahāñ pe maiñ terā shumār hotā huuñ
usi ke samne be-iKHtiyar hota hun
main jaan-bujh ke us ka shikar hota hun
isi liye main pasandida qaidi hun us ka
main us se puchh ke us se farar hota hun
ye fi-zamana samajhdari to nahin lekin
main jis pe hota hun pura nisar hota hun
jahan-jahan pe muKHalif khaDe hue hon tere
wahan-wahan pe main tera shumar hota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.