usi ki raushni rahti hai is qadar mujh mein
usī kī raushnī rahtī hai is qadar mujh meñ
jo us ke lauT ke aane kī hai ḳhabar mujh meñ
chhuā thā jin meñ kabhī mujh ko terī chāhat ne
vo lamhe jāgte rahte haiñ raat bhar mujh meñ
jo rāste ke añdheroñ se Dar ke lauT gayā
vo kaash dekhtā zinda thī ik sahar mujh meñ
mujhe Darā nahīñ saktī ye mushkiloñ kī dhuup
abhī umiid kā baaqī hai ik shajar mujh meñ
tire vujūd ko chhū le to phir mukammal ho
bhaTak rahī hai ḳhushī kab se dar-ba-dar mujh meñ
usi ki raushni rahti hai is qadar mujh mein
jo us ke lauT ke aane ki hai KHabar mujh mein
chhua tha jin mein kabhi mujh ko teri chahat ne
wo lamhe jagte rahte hain raat bhar mujh mein
jo raste ke andheron se Dar ke lauT gaya
wo kash dekhta zinda thi ek sahar mujh mein
mujhe Dara nahin sakti ye mushkilon ki dhup
abhi umid ka baqi hai ek shajar mujh mein
tere wujud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai KHushi kab se dar-ba-dar mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.