usi ko dost rakha dusra banaya nahin
usī ko dost rakhā dūsrā banāyā nahīñ
ka.ī banāte haiñ maiñ ne ḳhudā banāyā nahīñ
ye bastī raat kā kis tarah sāmnā karegī
yahāñ kisī ne bhī din meñ diyā banāyā nahīñ
patā karo ki ye naqqāsh kis qabīl kā hai
parinda jab bhī banāyā rihā banāyā nahīñ
ye log zulm kamā kar shab aise sote haiñ
ḳhudā ne jaise ki roz-e-jazā banāyā nahīñ
lahū bhī jaltā hai jhaḌtī hai ḳhaak bhī merī
ki sher utartā hai lekin banā-banāyā nahīñ
vo mehrbāñ hai magar bhūltā nahīñ mujh ko
vo ek kaam jo us ne mirā banāyā nahīñ
udaas dekhā nahīñ jaatā koī mujh se 'aqīl'
kisī ko is liye hāl-āshnā banāyā nahīñ
usi ko dost rakha dusra banaya nahin
kai banate hain main ne KHuda banaya nahin
ye basti raat ka kis tarah samna karegi
yahan kisi ne bhi din mein diya banaya nahin
pata karo ki ye naqqash kis qabil ka hai
parinda jab bhi banaya riha banaya nahin
ye log zulm kama kar shab aise sote hain
KHuda ne jaise ki roz-e-jaza banaya nahin
lahu bhi jalta hai jhaDti hai KHak bhi meri
ki sher utarta hai lekin bana-banaya nahin
wo mehrban hai magar bhulta nahin mujh ko
wo ek kaam jo us ne mera banaya nahin
udas dekha nahin jata koi mujh se 'aqil'
kisi ko is liye haal-ashna banaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.