usi ko raaz bataya jo raazdar na tha
usī ko raaz batāyā jo rāzdār na thā
bharosa jis pe jatāyā vo pā.edār na thā
junūn use bhī rahā āñdhiyoñ pe qabze kā
jise ḳhud apnī hī sāñsoñ pe e.atibār na thā
nadī ke paar pahuñchne meñ kitne Duub ga.e
pata chalā ki nayā kuchh nadī ke paar na thā
magar ye baat bhī bārish ke baad saaf huī
fazā meñ gard thī ā.īne par ġhubār na thā
nishāne-bāzī meñ tum bhī kamāl ho 'vāsiq'
shikār ho gayā vo bhī ki jo shikār na thā
usi ko raaz bataya jo raazdar na tha
bharosa jis pe jataya wo paedar na tha
junun use bhi raha aandhiyon pe qabze ka
jise KHud apni hi sanson pe eatibar na tha
nadi ke par pahunchne mein kitne Dub gae
pata chala ki naya kuchh nadi ke par na tha
magar ye baat bhi barish ke baad saf hui
faza mein gard thi aaine par ghubar na tha
nishane-bazi mein tum bhi kamal ho 'wasiq'
shikar ho gaya wo bhi ki jo shikar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.