usi se dosti bhi hai usi se dushmani bhi hai
usī se dostī bhī hai usī se dushmanī bhī hai
vahīñ par aab hai lekin vahīñ par tishnagī bhī hai
use mandir meñ kyoñ DhūñDheñ use masjid meñ kyoñ DhūñDheñ
jahāñ par āsthā hogī vahīñ par bandagī bhī hai
ye maanā raat kaalī hai añdherā us kī qismat hai
añdhere ke hī ghūñghaT meñ chhupī par raushnī bhī hai
use kyā naam duuñ āḳhir sanam hamdam yā harjā.ī
usī pe jaan detī huuñ usī se zindagī bhī hai
usi se dosti bhi hai usi se dushmani bhi hai
wahin par aab hai lekin wahin par tishnagi bhi hai
use mandir mein kyon DhunDhen use masjid mein kyon DhunDhen
jahan par aastha hogi wahin par bandagi bhi hai
ye mana raat kali hai andhera us ki qismat hai
andhere ke hi ghunghaT mein chhupi par raushni bhi hai
use kya nam dun aaKHir sanam hamdam ya harjai
usi pe jaan deti hun usi se zindagi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.