Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usi se KHush hai dil jis se KHafa hai

Zaheen Shah Taji

usi se KHush hai dil jis se KHafa hai

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    usī se ḳhush hai dil jis se ḳhafā hai

    na jaane ye mujhe kyā ho gayā hai

    jafā hotī rahī ye bhī vafā hai

    baḌā ehsān be-minnat jafā hai

    na farmā.eñ sazā dene zahmat

    mohabbat aap apnī sazā hai

    mujhe nā-dīda jalve par gumāñ thā

    ye jalva to mirā dekhā huā hai

    haqīqat meñ mirā girya ai dost

    tire lab par tabassum ban gayā hai

    'zahīn' is bandagī se baaz aayā

    vo kāfir kyā koī merā ḳhudā hai

    usi se KHush hai dil jis se KHafa hai

    na jaane ye mujhe kya ho gaya hai

    jafa hoti rahi ye bhi wafa hai

    baDa ehsan be-minnat jafa hai

    na farmaen saza dene ki zahmat

    mohabbat aap hi apni saza hai

    mujhe na-dida jalwe par guman tha

    ye jalwa to mera dekha hua hai

    haqiqat mein mera girya hi ai dost

    tere lab par tabassum ban gaya hai

    'zahin' is bandagi se baz aaya

    wo kafir kya koi mera KHuda hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now