Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

utar lafzon ka ek zaKHira ghazal ko taza KHayal de de

Taimur Hasan

utar lafzon ka ek zaKHira ghazal ko taza KHayal de de

Taimur Hasan

MORE BYTaimur Hasan

    utaar lafzoñ ik zaḳhīra ġhazal ko taaza ḳhayāl de de

    ḳhud apnī shohrat pe rashk aa.e suḳhan meñ aisā kamāl de de

    sitāre tasḳhīr karne vaalā paḌosiyoñ se bhī be-ḳhabar hai

    agar yahī hai urūj-e-ādam to phir hameñ zavāl de de

    tirī taraf se javāb aa.e na aa.e parvā nahīñ hai is

    yahī bahut hai ki ham ko yārab sirf izn-e-savāl de de

    hamārī āñkhoñ se ashk Tapkeñ laboñ pe muskān dauḌtī ho

    jo ham ne pahle kabhī na paayā ab ke aisā malāl de de

    kabhī tumhāre qarīb rah kar bhī dūriyoñ ke 'azāb jheleñ

    kabhī kabhī ye tumhārī furqat bhī ham ko lutf-e-visāl de de

    utar lafzon ka ek zaKHira ghazal ko taza KHayal de de

    KHud apni shohrat pe rashk aae suKHan mein aisa kamal de de

    sitare tasKHir karne wala paDosiyon se bhi be-KHabar hai

    agar yahi hai uruj-e-adam to phir hamein tu zawal de de

    teri taraf se jawab aae na aae parwa nahin hai is ki

    yahi bahut hai ki hum ko yarab tu sirf izn-e-sawal de de

    hamari aankhon se ashk Tapken labon pe muskan dauDti ho

    jo hum ne pahle kabhi na paya tu ab ke aisa malal de de

    kabhi tumhaare qarib rah kar bhi duriyon ke 'azab jhelen

    kabhi kabhi ye tumhaari furqat bhi hum ko lutf-e-visal de de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now