utarti kyon ye sari ja rahi hai
utartī kyoñ ye saarī jā rahī hai
kahāñ merī ḳhumārī jā rahī hai
nazar nīchī kiye phirte haiñ bhañvre
kalī kī sharmsārī jā rahī hai
Thahākoñ meñ hue tabdīl aañsū
shab-e-furqat guzārī jā rahī hai
ajab mūrakh ho sīrat dekhte ho
abhī sūrat nikhārī jā rahī hai
kahāroñ kī jagah dikhtī haiñ ḳhushiyāñ
dukhoñ kī vo savārī jā rahī hai
baḌe-chhoToñ se bach ke chal rahe haiñ
purānī pāsdārī jā rahī hai
lageñ jis kī zamāne bhar ko nazreñ
nazar us kī utārī jā rahī hai
miyāñ ham bhī to pīchhe hī paḌe haiñ
ġhazal kī reḌh maarī jā rahī hai
yahāñ hāthoñ meñ chhāle ho ga.e haiñ
vahāñ qismat sañvārī jā rahī hai
bigaḌ mat dekh bas chup-chāp 'sāhil'
nadī kis kis pe vaarī jā rahī hai
utarti kyon ye sari ja rahi hai
kahan meri KHumari ja rahi hai
nazar nichi kiye phirte hain bhanwre
kali ki sharmsari ja rahi hai
Thahakon mein hue tabdil aansu
shab-e-furqat guzari ja rahi hai
ajab murakh ho sirat dekhte ho
abhi surat nikhaari ja rahi hai
kahaaron ki jagah dikhti hain KHushiyan
dukhon ki wo sawari ja rahi hai
baDe-chhoTon se bach ke chal rahe hain
purani pasdari ja rahi hai
lagen jis ki zamane bhar ko nazren
nazar us ki utari ja rahi hai
miyan hum bhi to pichhe hi paDe hain
ghazal ki reDh mari ja rahi hai
yahan hathon mein chhaale ho gae hain
wahan qismat sanwari ja rahi hai
bigaD mat dekh bas chup-chap 'sahil'
nadi kis kis pe wari ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.