uTh gai aaj chand ki Doli
uTh ga.ī aaj chāñd kī Dolī
kitnī vīrāñ hai raat kī jholī
apnā saaya sameT kar rakhnā
mujh se ik bhāgtī kiran bolī
ab to jaag ai shaboñ kī shahzādī
tujh ko sonā thā umr-bhar so lī
saañs roko charāġh gul kar do
aaj badlegī chāñdnī cholī
maiñ huuñ sāthī sulagte sahrā kā
tū ThiThurtī kiran kī ham-jolī
ek dariyā sambhal sambhal ke chalā
ek kashtī qadam qadam Dolī
āsmāñ tū abhī zamīñ pe na aa
maiñ ne muTThī abhī nahīñ kholī
kab talak koī dil pe kaan dhare
kaun samjhe 'rashīd' kī bolī
uTh gai aaj chand ki Doli
kitni viran hai raat ki jholi
apna saya sameT kar rakhna
mujh se ek bhagti kiran boli
ab to jag ai shabon ki shahzadi
tujh ko sona tha umr-bhar so li
sans roko charagh gul kar do
aaj badlegi chandni choli
main hun sathi sulagte sahra ka
tu ThiThurti kiran ki ham-joli
ek dariya sambhal sambhal ke chala
ek kashti qadam qadam Doli
aasman tu abhi zamin pe na aa
main ne muTThi abhi nahin kholi
kab talak koi dil pe kan dhare
kaun samjhe 'rashid' ki boli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.