uTh raha hai dam-ba-dam Dar ka dhuan
uTh rahā hai dam-ba-dam Dar kā dhuāñ
kam nahīñ ho pā rahā ghar kā dhuāñ
kashtiyoñ kī aag dafnāne ke ba.ad
dekh le sāhil samundar kā dhuāñ
donoñ jānib ek jaisī aag hai
donoñ jānib hai barābar kā dhuāñ
sāmne to scene hai behtar magar
kyā pata pīchhe ho manzar kā dhuāñ
khiḌkiyāñ saarī kī saarī khol kar
dekhtā rahtā huuñ bāhar kā dhuāñ
jañg ke āsār haiñ baaqī abhī
aa rahā hai paas lashkar kā dhuāñ
uTh raha hai dam-ba-dam Dar ka dhuan
kam nahin ho pa raha ghar ka dhuan
kashtiyon ki aag dafnane ke baad
dekh le sahil samundar ka dhuan
donon jaanib ek jaisi aag hai
donon jaanib hai barabar ka dhuan
samne to scene hai behtar magar
kya pata pichhe ho manzar ka dhuan
khiDkiyan sari ki sari khol kar
dekhta rahta hun bahar ka dhuan
jang ke aasar hain baqi abhi
aa raha hai pas lashkar ka dhuan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.