uTha hi lete hain diwar-o-dar saliqe se
uThā hī lete haiñ dīvār-o-dar salīqe se
banāne vaale banāte haiñ ghar salīqe se
nazar meñ rakhte haiñ vo zindagī shahādat kī
kaTāne vaale kaTāte haiñ sar salīqe se
salīqa-mañd hai kitnī ye gardish-e-daurāñ
ki aaj ugte haiñ shām-o-sahar salīqe se
sunā hai ashk-e-nadāmat kī hai baḌī qīmat
sajā le palkoñ pe tū ye guhar salīqe se
añdhere saare ujāloñ sā jagmagā.eñge
tū roz-o-shab pe nazar rakh magar salīqe se
tamām umr to guzrī salīqe se sach hai
to ab jahāñ se bhī 'shāġhil' guzar salīqe se
uTha hi lete hain diwar-o-dar saliqe se
banane wale banate hain ghar saliqe se
nazar mein rakhte hain wo zindagi shahadat ki
kaTane wale kaTate hain sar saliqe se
saliqa-mand hai kitni ye gardish-e-dauran
ki aaj ugte hain sham-o-sahar saliqe se
suna hai ashk-e-nadamat ki hai baDi qimat
saja le palkon pe tu ye guhar saliqe se
andhere sare ujalon sa jagmagaenge
tu roz-o-shab pe nazar rakh magar saliqe se
tamam umr to guzri saliqe se sach hai
to ab jahan se bhi 'shaghil' guzar saliqe se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.