uTha ke kasa-e-kaun-o-makan sawal kiya
uThā ke kāsa-e-kaun-o-makāñ savāl kiyā
is ek baat pe tū ne sab ishti'āl kiyā
qarīb thā ki koī ā.inoñ meñ ghir jaatā
kahīñ se ret uḌī aur 'ajab kamāl kiyā
bahār aa ke rahī ġhuncha-e-tamanna meñ
phir ek aañkh ne rang-e-hunar misāl kiyā
kahīñ pe koī du'ā tāqchoñ meñ Duub ga.ī
to shām-e-shahr-e-safar ne bahut malāl kiyā
koī nigāh thī māne' vagarna kār-e-jahāñ
gahe gahe na huā aur ḳhāl-ḳhāl kiyā
ye kaisā phuul utartā hai sat.h-e-dariyā par
ye kis talab ne nigāhoñ kā rang laal kiyā
koī tamanna bhaTaktī thī dil kī galiyoñ meñ
phir ek roz use bhī udhar nikāl kiyā
uTha ke kasa-e-kaun-o-makan sawal kiya
is ek baat pe tu ne sab ishti'al kiya
qarib tha ki koi aainon mein ghir jata
kahin se ret uDi aur 'ajab kamal kiya
bahaar aa ke rahi ghuncha-e-tamanna mein
phir ek aankh ne rang-e-hunar misal kiya
kahin pe koi du'a taqchon mein Dub gai
to sham-e-shahr-e-safar ne bahut malal kiya
koi nigah thi mane' wagarna kar-e-jahan
gahe gahe na hua aur KHal-KHal kiya
ye kaisa phul utarta hai sath-e-dariya par
ye kis talab ne nigahon ka rang lal kiya
koi tamanna bhaTakti thi dil ki galiyon mein
phir ek roz use bhi udhar nikal kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.