uTha ke mere zehn se shabab koi le gaya
uThā ke mere zehn se shabāb koī le gayā
añdhere chīḳhte haiñ āftāb koī le gayā
maiñ saare kāġhzāt le ke dekhtā hī rah gayā
savāb koī le gayā 'azāb koī le gayā
supurd kar ke ḳhāmushī kī mohr-e-ḳhush-numā mujhe
laboñ se na.ara-hā-e-inqalāb koī le gayā
hai e'tirāf mere haath meñ jo ek chiiz thī
sañbhāl kar rakhā to thā janāb koī le gayā
ye ġham nahīñ ki mujh ko jāgnā paḌā hai 'umr bhar
ye rañj hai ki mere saare ḳhvāb koī le gayā
shajar shajar varaq varaq payām-bar vahāñ bhī hai
jahāñ se har sahīfa har kitāb koī le gayā
shanāḳht ho sakī na phir bhī ye mirā qusūr thā
hamāre darmiyāñ thā jo hijāb koī le gayā
uTha ke mere zehn se shabab koi le gaya
andhere chiKHte hain aaftab koi le gaya
main sare kaghzat le ke dekhta hi rah gaya
sawab koi le gaya 'azab koi le gaya
supurd kar ke KHamushi ki mohr-e-KHush-numa mujhe
labon se nara-ha-e-inqalab koi le gaya
hai e'tiraf mere hath mein jo ek chiz thi
sanbhaal kar rakha to tha janab koi le gaya
ye gham nahin ki mujh ko jagna paDa hai 'umr bhar
ye ranj hai ki mere sare KHwab koi le gaya
shajar shajar waraq waraq payam-bar wahan bhi hai
jahan se har sahifa har kitab koi le gaya
shanaKHt ho saki na phir bhi ye mera qusur tha
hamare darmiyan tha jo hijab koi le gaya
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.