uTha KHud jis se jata bhi nahin hai
uThā ḳhud jis se jaatā bhī nahīñ hai
ḳhudā us ko uThātā bhī nahīñ hai
nahīñ uThtī haiñ be-shak us kī nazreñ
magar sar vo jhukātā bhī nahīñ hai
karegā dekh kar vo aa.ina kyā
kabhī jo muskurātā bhī nahīñ hai
huī jis naam se nafrat vo us ko
kitāboñ se miTātā bhī nahīñ hai
maiñ us kā dard 'kalkal' kaise bāñTūñ
ki jo chhāle dikhātā bhī nahīñ hai
uTha KHud jis se jata bhi nahin hai
KHuda us ko uThata bhi nahin hai
nahin uThti hain be-shak us ki nazren
magar sar wo jhukata bhi nahin hai
karega dekh kar wo aaina kya
kabhi jo muskuraata bhi nahin hai
hui jis nam se nafrat wo us ko
kitabon se miTata bhi nahin hai
main us ka dard 'kalkal' kaise banTun
ki jo chhaale dikhata bhi nahin hai
- Book : Munderon Per Charagh (Pg. 89)
- Author : Rajender Kalkal
- Publication : Amrit Parkashan, Delhi (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.