uThae ja un ke sitam aur jiye ja
uThā.e jā un ke sitam aur jiye jā
yuuñ hī muskurā.e jā aañsū piye jā
yahī hai mohabbat kā dastūr ai dil
vo ġham de tujhe tū duā.eñ diye jā
kabhī vo nazar jo samā.ī thī dil meñ
usī ik nazar kā sahārā liye jā
satā.e zamāna sitam Dhaa.e duniyā
magar tū kisī kī tamanna kiye jā
uThae ja un ke sitam aur jiye ja
yun hi muskurae ja aansu piye ja
yahi hai mohabbat ka dastur ai dil
wo gham de tujhe tu duaen diye ja
kabhi wo nazar jo samai thi dil mein
usi ek nazar ka sahaara liye ja
satae zamana sitam Dhae duniya
magar tu kisi ki tamanna kiye ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.