uThata kaun hai naKHre hamare
uThātā kaun hai naḳhre hamāre
kise fursat sune qisse hamāre
gale milte achānak ruk gayā vo
maTīle dekh kar kapḌe hamāre
vo halke zindagī ke bojh se the
kitāboñ se bhare baste hamāre
use apnī ḳhushī dī thī duā meñ
udāsī aa ga.ī hisse hamāre
na.e is saal sochā thā mileñge
magar aa.e na din achchhe hamāre
yahī behtar kahānī moḌ leñ ham
nahī milte agar raste hamāre
anā kī zid kahāñ tak le ga.ī hai
zarā sī der ke jhagḌe hamāre
uThata kaun hai naKHre hamare
kise fursat sune qisse hamare
gale milte achanak ruk gaya wo
maTile dekh kar kapDe hamare
wo halke zindagi ke bojh se the
kitabon se bhare baste hamare
use apni KHushi di thi dua mein
udasi aa gai hisse hamare
nae is sal socha tha milenge
magar aae na din achchhe hamare
yahi behtar kahani moD len hum
nahi milte agar raste hamare
ana ki zid kahan tak le gai hai
zara si der ke jhagDe hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.