utre to kai bar sahife mere ghar mein
utre to ka.ī baar sahīfe mire ghar meñ
milte haiñ magar sirf jarīde mire ghar meñ
āvāz meñ lazzat kā nayā shahd jo gholeñ
utre na kabhī aise parinde mire ghar meñ
neze to shu'ā'oñ ke rahe ḳhuun ke pyāse
nam-dīda the dīvār ke saa.e mire ghar meñ
qindīl-e-navā le ke safar hī meñ rahā maiñ
dhuñdlā ga.e armānoñ ke shīshe mire ghar meñ
andar kī harārat se badan suukh rahā hai
utreñ kabhī shabnam ke qabīle mire ghar meñ
maiñ kaise tamannāoñ ke darpan ko bachā.ūñ
saffāk hue jaate haiñ lamhe mire ghar meñ
album kī bhī sauġhāt tarab-ḳhez hai kitnī
ab merī tarah haiñ ka.ī chehre mere ghar meñ
utre to kai bar sahife mere ghar mein
milte hain magar sirf jaride mere ghar mein
aawaz mein lazzat ka naya shahd jo gholen
utre na kabhi aise parinde mere ghar mein
neze to shu'a'on ke rahe KHun ke pyase
nam-dida the diwar ke sae mere ghar mein
qindil-e-nawa le ke safar hi mein raha main
dhundla gae armanon ke shishe mere ghar mein
andar ki hararat se badan sukh raha hai
utren kabhi shabnam ke qabile mere ghar mein
main kaise tamannaon ke darpan ko bachaun
saffak hue jate hain lamhe mere ghar mein
album ki bhi saughat tarab-KHez hai kitni
ab meri tarah hain kai chehre mere ghar mein
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 271)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.