Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere

Insha Allah Khan Insha

tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    tab se āshiq haiñ ham ai tifl-e-parī-vash tere

    jab se maktab meñ kahtā thā alif be te se

    yaad aatā hai vo harfoñ uThānā ab tak

    jiim ke peT meñ ek nukta hai aur ḳhālī he

    he par shakl havāsil aatī hai nazar

    nuqta is par jo lagā ḳhe huā ye vaah be ḳhe

    daal bhī chhoTī bahan us hai juuñ ātūje

    ek parkāla beTā bhī hai ghar meñ un ke

    re bhī ḳhālī hai aur ze pe hai vo nukta ek

    ki mushābah hai jo til se mirī ruḳhsāre ke

    scene ḳhālī hai baḌī shiin pe haiñ nuqta tiin

    saad aur zaad meñ bas farq hai ik nuqte se

    to.e bin turra hai aur zo.e par ik nuqta phir

    ain be-aib hai aur kaane miyāñ ġhain hue

    fe pe ik nuqta hai aur qaaf pe haiñ nuqta do

    kaaf bhī ḳhālī hai aur laam bhī ḳhālī, ye le

    miim bhī yuuñ hai aur nuun ke andar nuqta

    muflisā beg hai ye vaav bhī aur chhoTī he

    kyā ḳhalīfa ye hai hai hai nahīñ se nikle

    aage chhuTTī do ai lo laam alif hamza ye

    gāliyāñ terī suntā hai ab 'inshā' varna

    kis tāqat hai alif se jo kahe us ko be

    tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere

    jab se maktab mein tu kahta tha alif be te se

    yaad aata hai wo harfon ka uThana ab tak

    jim ke peT mein ek nukta hai aur KHali he

    he ki par shakl hawasil ki si aati hai nazar

    nuqta is par jo laga KHe hua ye wah be KHe

    dal bhi chhoTi bahan us ki hai jun aatuje

    ek parkala sa beTa bhi hai ghar mein un ke

    re bhi KHali hai aur ze pe hai wo nukta ek

    ki mushabah hai jo til se meri ruKHsare ke

    scene KHali hai baDi shin pe hain nuqta tin

    sad aur zad mein bas farq hai ek nuqte se

    toe bin turra hai aur zoe par ek nuqta phir

    ain be-aib hai aur kane miyan ghain hue

    fe pe ek nuqta hai aur qaf pe hain nuqta do

    kaf bhi KHali hai aur lam bhi KHali, ye le

    mim bhi yun hi hai aur nun ke andar nuqta

    muflisa beg hai ye waw bhi aur chhoTi he

    kya KHalifa ji ye hai hai hai nahin se nikle

    aage chhuTTi do ai lo lam alif hamza ye

    galiyan teri hi sunta hai ab 'insha' warna

    kis ki taqat hai alif se jo kahe us ko be

    Source :
    • Kulliyat-e-inshaallah khan insha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now