wadi-e-gham mein tere sath sath bhaTak raha hun main
vādi-e-ġham meñ tere saath saath bhaTak rahā huuñ maiñ
tujh ko mirī talāsh hai aur tujhe DhūñDtā huuñ maiñ
hañstā huuñ boltā bhī huuñ rotā huuñ sochtā bhī huuñ
puurā mizāj-e-ādmī sab ko dikhā rahā huuñ maiñ
itnā hujūm-e-ādmī hai ki hisāb meñ nahīñ
phir bhī gila hai aañkh se kuchh nahīñ dekhtā huuñ maiñ
dekhtā huuñ maiñ vāqi.āt silsila-e-taġhayyurāt
sadiyoñ se vast meñ banā shahr kā rāsta huuñ maiñ
mauja-e-gard-e-rah uThā hāsil-e-zindagī lagā
qāfila-e-hayāt kī sa.ī se āshnā huuñ maiñ
wadi-e-gham mein tere sath sath bhaTak raha hun main
tujh ko meri talash hai aur tujhe DhunDta hun main
hansta hun bolta bhi hun rota hun sochta bhi hun
pura mizaj-e-admi sab ko dikha raha hun main
itna hujum-e-admi hai ki hisab mein nahin
phir bhi gila hai aankh se kuchh nahin dekhta hun main
dekhta hun main waqiat silsila-e-taghayyuraat
sadiyon se wast mein bana shahr ka rasta hun main
mauja-e-gard-e-rah uTha hasil-e-zindagi laga
qafila-e-hayat ki sai se aashna hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.