wadi mein husn ki hai ghaTaon ki bazgasht
vaadī meñ husn kī hai ghaTāoñ kī bāzgasht
kānoñ ko chūmtī hai sadāoñ kī bāzgasht
ab ke hamāre shahr kā aalam ajiib hai
har lamha reñgtī hai balāoñ kī bāzgasht
sehn-e-chaman meñ gaatī hai is tarah andalīb
jaise machal rahī ho ḳhizāoñ kī bāzgasht
aatī hai yaad mujh ko hazāroñ kahāniyāñ
kartī hai shor jab bhī havāoñ kī bāzgasht
'ādil-hayāt' terā hai uslūb munfarid
kānoñ meñ kah rahī hai sadāoñ kī bāzgasht
wadi mein husn ki hai ghaTaon ki bazgasht
kanon ko chumti hai sadaon ki bazgasht
ab ke hamare shahr ka aalam ajib hai
har lamha rengti hai balaon ki bazgasht
sehn-e-chaman mein gati hai is tarah andalib
jaise machal rahi ho KHizaon ki bazgasht
aati hai yaad mujh ko hazaron kahaniyan
karti hai shor jab bhi hawaon ki bazgasht
'adil-hayat' tera hai uslub munfarid
kanon mein kah rahi hai sadaon ki bazgasht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.