wah kis rang pe hai rang-e-bahaar-e-ariz
vaah kis rang pe hai rang-e-bahār-e-āriz
bāġh-e-firdaus kā har phuul nisār-e-āriz
lailatul-qadr hai ai maah tirā ḳhatt-e-siyāh
sub.h yaum-ul-'arafa nūr-e-dayār-e-āriz
sahar-e-īd kā ā.īna savād is kā hai
hai chamaktī huī iqlīm dayār-e-āriz
hai nazar ḳhīra ye hai ḳhatt-e-siyah kā jalva
din se baḌh kar hai faroġh-e-shab-e-tār-e-āriz
ho chalā bārvar ab naḳhl-e-javānī un kā
chashm-e-bad duur hai āġhāz-e-bahār-e-āriz
mahr se baḌh ke hai zarre kī chamak us ruḳh par
falak-ul-'arsh hai yā hai ye ġhubār-e-āriz
hūreñ mashshāta haiñ har haft kī ḳhidmat hai unheñ
maah ā.īna hai mehr ā.īna-dār-e-āriz
nūr-e-ruḳh sabzī-e-ḳhat pesh-e-nazar haiñ donoñ
merī āñkhoñ meñ hai ye lail-o-nahār-e-āriz
ai gul-andām tire husn kī rangat hai kuchh aur
phuul bhī sadqe haiñ bulbul bhī nisār-e-āriz
aa.ina sāmne hai mahv-e-tamāshā haiñ vo
dekhte haiñ mirī āñkhoñ se bahār-e-āriz
zulfeñ ruḳh par tire bal kartī haiñ zebā hai unheñ
un kī jāgīr meñ likkhā hai dayār-e-āriz
rang halkā sā gulābī hai phir us par ḳhat-e-sabz
qābil-e-dīd hai 'akbar' ye bahār-e-āriz
wah kis rang pe hai rang-e-bahaar-e-ariz
bagh-e-firdaus ka har phul nisar-e-ariz
lailatul-qadr hai ai mah tera KHatt-e-siyah
subh yaum-ul-'arafa nur-e-dayar-e-ariz
sahar-e-id ka aaina sawad is ka hai
hai chamakti hui iqlim dayar-e-ariz
hai nazar KHira ye hai KHatt-e-siyah ka jalwa
din se baDh kar hai farogh-e-shab-e-tar-e-ariz
ho chala barwar ab naKHl-e-jawani un ka
chashm-e-bad dur hai aaghaz-e-bahaar-e-ariz
mahr se baDh ke hai zarre ki chamak us ruKH par
falak-ul-'arsh hai ya hai ye ghubar-e-ariz
huren mashshata hain har haft ki KHidmat hai unhen
mah aaina hai mehr aaina-dar-e-ariz
nur-e-ruKH sabzi-e-KHat pesh-e-nazar hain donon
meri aankhon mein hai ye lail-o-nahaar-e-ariz
ai gul-andam tere husn ki rangat hai kuchh aur
phul bhi sadqe hain bulbul bhi nisar-e-ariz
aaina samne hai mahw-e-tamasha hain wo
dekhte hain meri aankhon se bahaar-e-ariz
zulfen ruKH par tere bal karti hain zeba hai unhen
un ki jagir mein likkha hai dayar-e-ariz
rang halka sa gulabi hai phir us par KHat-e-sabz
qabil-e-did hai 'akbar' ye bahaar-e-ariz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.