wahid parast ishq-ba-daman bana diya
wahid parast ishq-ba-daman bana diya
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
vāhid parast ishq-ba-dāmāñ banā diyā
kāfir nazar ne ham ko musalmāñ banā diyā
ġhunche ko gul to gul ko gulistāñ banā diyā
zarre ko tū ne mehr-e-daraḳhshāñ banā diyā
ham the faqat farishta hī banñe pe mutma.in
ye hai ḳhudā kī den ki insāñ banā diyā
dil de ke dil ko lazzat-e-ġham de zahe nasīb
ḳhud dard hī ko dard kā darmāñ banā diyā
allāh junūn-e-ishq kī mojiz-numā.iyāñ
īmāñ ko kufr kufr ko īmāñ banā diyā
kis ne sameT kar ġham-e-kaunain ko 'sahar'
dil ko rahīn-e-sozish-e-pinhāñ banā diyā
wahid parast ishq-ba-daman bana diya
kafir nazar ne hum ko musalman bana diya
ghunche ko gul to gul ko gulistan bana diya
zarre ko tu ne mehr-e-daraKHshan bana diya
hum the faqat farishta hi banne pe mutmain
ye hai KHuda ki den ki insan bana diya
dil de ke dil ko lazzat-e-gham de zahe nasib
KHud dard hi ko dard ka darman bana diya
allah junun-e-ishq ki mojiz-numaiyan
iman ko kufr kufr ko iman bana diya
kis ne sameT kar gham-e-kaunain ko 'sahar'
dil ko rahin-e-sozish-e-pinhan bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.