Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab

Qurban Ali Salik Beg

waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab

Qurban Ali Salik Beg

MORE BYQurban Ali Salik Beg

    vaa.iz milegī ḳhuld meñ kab is qadar sharāb

    paanī ke badle piite haiñ ai be-ḳhabar sharāb

    aamad meñ us mast hue kuchh ḳhabar nahīñ

    saaqī hai kaun jaam kahāñ aur kidhar sharāb

    us qulzum-e-gunāh meñ Duubā huā huuñ maiñ

    jis meñ hai ek mauja-e-dāmān-e-tar sharāb

    mastī meñ un ko lag ga.ī lau aur ġhair

    denī shab-e-visāl na thī is qadar sharāb

    iqrār-e-vasl aur vo mast-e-ġhurūr-e-nāz

    aayā hai ke kahīñ ai nāma-bar sharāb

    'sālik' mile jo bazm meñ us to lutf hai

    varna piyā karte haiñ ham apne ghar sharāb

    waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab

    pani ke badle pite hain ai be-KHabar sharab

    aamad mein us ki mast hue kuchh KHabar nahin

    saqi hai kaun jam kahan aur kidhar sharab

    us qulzum-e-gunah mein Duba hua hun main

    jis mein hai ek mauja-e-daman-e-tar sharab

    masti mein un ko lag gai lau aur ghair ki

    deni shab-e-visal na thi is qadar sharab

    iqrar-e-wasl aur wo mast-e-ghurur-e-naz

    aaya hai pi ke tu kahin ai nama-bar sharab

    'salik' mile jo bazm mein us ki to lutf hai

    warna piya hi karte hain hum apne ghar sharab

    Source :
    • Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 197)
    • Author : Farhat Ehsas
    • Publication : Rekhta Books (2017)
    • Edition : 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now