waiz tu agar un ke kuche se guzar jae
vaa.iz tū agar un ke kūche se guzar jaa.e
firdaus kā manzar bhī nazroñ se utar jaa.e
rūdād-e-shab-e-ġham yuuñ Dartā huuñ sunāne se
mahfil meñ kahīñ un kī sūrat na utar jaa.e
ik vāda-e-fardā kī ummīd pe zinda huuñ
ai kaash kisī sūrat ye raat guzar jaa.e
kaabe hī ke raste meñ mai-ḳhāna bhī paḌtā hai
uljhan meñ ye rah-rau hai jaa.e to kidhar jaa.e
tum un se milo 'dānish' ye dhyān rahe lekin
ḳhuddāri-e-fitrat kā ehsās na mar jaa.e
waiz tu agar un ke kuche se guzar jae
firdaus ka manzar bhi nazron se utar jae
rudad-e-shab-e-gham yun Darta hun sunane se
mahfil mein kahin un ki surat na utar jae
ek wada-e-farda ki ummid pe zinda hun
ai kash kisi surat ye raat guzar jae
kabe hi ke raste mein mai-KHana bhi paDta hai
uljhan mein ye rah-rau hai jae to kidhar jae
tum un se milo 'danish' ye dhyan rahe lekin
KHuddari-e-fitrat ka ehsas na mar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.